Ek raah
Ek raah - akeli si, anjaani si...
Khud hee kadam uss par chal chale
Na manzil ka thikaana, na hee kisi or ka
ek saath ki ummeed mein aagey badh chale
Miley kitne mujhe iss safar par
Iss raah jaise hee anjane se..
Kahin paas, kahin door..
kuch le ke andheron mein noor..
Kabhi rafta rafta mere peeche
Kabhi noor se bhi tez itne aagey,
Ki ho gaye wo..ankhon se ojhal,
aur bass gaye dil mein yaad ban ke..
Jaane kab takk aur jaayeingi ye raahein..
Kahaan hai meri parchaai?
Abhi talak dhoondh rahi hain ye Nigaahein!!
Looking? Really?
ReplyDeleteI guess I am moving in dark hence can't see the shadow
ReplyDeletemissng someone? :)
ReplyDeletenice post
wow.. tussi to kavita shavita likhte ho.. multi-talented,huhhhhh :)
ReplyDeleteit was a nice read.. nice lines, concluding lines are awesome
Thanks Sohrab, Kirtan!! :)
ReplyDeleteIts been long since you worte something?
ReplyDeletewhen is your next one due?
I am a fan of your writing, please dont stop!
Dhoondh rahi hain aap apni parchhaain, apna saaya
ReplyDeleteek akeli, anjaani si raah par...
Shayad ummeed hai aapko, ki is raah ka koi rehguzar,
aapke saaye ki tarah ban jaaye, aap hi ka hamsafar.....
Aapka humsafar, saaye ki tarah na ho, ye dua hai meri
humsafar woh hai jo andheron me saath deta hai...
Raaton me to saaya bhi ho jaata hai beimaan
jab talak chandni hai, tab talak hi saath deta hai.....
Dhoop me saath de woh humsafar to koi baat nahi
humsafar woh hai jo baadalon me saath deta hai...
Baarishon me to saaye ko ho jaata hai yun gumaan
saath tabhi deta hai jab aasma me saat rang hote hain.....
Wo saathi ki jisko dhoondti hai aapki nazar
naa koi saaya hai, naa hai wo koi rehguzar...
ek dafaa nigaahein jhuka ke gaur se dekhiye zaalim,
ye anjaani si raah hi to hai aapki sacchi humsafar.....
Manzilein milein na milein, raahi milein na milein
saaye rahein na rahein, hum kabhi milein na milein...
Vafaa ki misaal ye raah anjaan, har kadam aapke saath chalegi,
chhodegi ye anjaan aapko tabhi, jab is anjaan ko aap chhod dengi.... :-)
Cheers !!!
Mayank
Woww Mayank...thats bautiful!!!
ReplyDelete